Wednesday, September 26, 2012

Le chala jaan meri rooth ke jaana tera - Original

Tagged in Le chala jaan meri rooth ke jaana tera 
Pyaar ki yeh ek kahani - One of the best sher i used to read infront of my wife every time when she was my girlfriend, There are two themes of this shayari one is used as sher or shayari (Poem) and other one is considered as lyrics of a ghazal

Le chala jaan meri rooth ke jaana tera,
aise aane se to behtar tha na aana tera

apne dil ko bhi bataoon na thikana tera,
sab ne jaana jo pata ek ne jaana tera

tu jo aye zulf pareshaan si raha karti hai,
kiske ujdeh hue dil me hai thikana tere

arzoo hi na rahi subh-e-watan ki mujhko,

sham-o-gurbat hai ajab waqt suhana tera

tujhe aye maut seene se lagaa rakkha hai,
kaam aata hai bure waqt me aana tera

Kaba-o-dair me ya chashma-o-dil-e-ashiq me,
inhi do chaar gharo me hai thikaana tera

DAAG ko yun wo mitaate aur farmaate hai,
tu badal daal hua naam purana tera.

- Ahmad faraz

Below is the lyrics which is used as a ghazal by aabiday parveen and yet forum says that the below is the lyrics of Daag Delhvi. May be some of the words are changed but the fact remains the original is by Ahmad faraz

le chala jaan meri rooth ke jana tera
aise aanay se to behtar tha na aana tera

tu jo ay zulf pareshaan raha karti hai
kis ke ujre howay dil mein hai thikana tera

aarzu he na rahi subh e watan ki mujh ko
shaam e ghurbat hai ajab waqt sunhana ter

apni aankhon mein abhi kond gayi bijli si
hum na samjhe ke yeh aana hai ke jaana tera

tu khuda to nahi, ae naaseh naadaan mera
kya khata ki jo kaha maine na maana tera

le chala jaan meri rooth ke jana tera
aise aanay se to behtar tha na aana tera

2 comments: